Hindi Song: Tumse Milke Hoa

Movie or Album: 42 Kms

Singer(s):
Shaan, Sunidhi Chauhan
Music Director(s): Parik, Tubby

Lyricist(s): Shahab Allahabadi

(tumse milke huwa mujhape kaisa asar
abb kisi pe nahi theharati yeh najar) - (2)
(tumne kya kar diya, mujhako kya ho gaya
main kahin kho gaya, dil kahin kho gaya) - (2)
(kaisa jaadu hai, kaisa hai yeh nasha
kuchh toh bataao mujhe, kuchh kaho toh jara) - (2)

tum hi tum raat din, bas khayaalon mein mere
koi chehara nazar mein samaata hi nahi
kis kadar badh gayi meri betaabiyaan
tumko dekhe bina chain aata hi nahi
(tumne kya kar diya, mujhako kya ho gaya
main kahin kho gaya, dil kahin kho gaya) - (2)

mere saanson mein hai ajnabi si kasak
dil mein tufaan hai yeh, kaisa anjaan sa
mujhape taane kase, meri tanhaayiyaan
lamha lamha rahu main abb toh hairaan sa
tumne kya kar diya, mujhako kya ho gaya
main kahin kho gaya, dil kahin kho gaya
tumse milke huwa mujhape kaisa asar
abb kisi pe nahi theharati yeh najar
tumne kya kar diya, mujhako kya ho gaya
main kahin kho gaya, dil kahin kho gaya
kaisa jaadu hai, kaisa hai yeh nasha
kuchh toh bataao mujhe, kuchh kaho toh jara
tumne kya kar diya, mujhako kya ho gaya
main kahin kho gayi, dil kahin kho gaya ha.......

View 42 Kms Movie Lyrics

0 comments